Sunday, February 9, 2014

Sharaab Ka Nasha


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai,


Kisame nahi hhi hai nasha,
bachhe me bachpane ka nasha,
Jawani me pyar ka nasha,
Adhed me kamane ka nasha,
Budhape me pariwar ka nasha,
Aur kahte hai, bura hai nasha,


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai,


Karta hu nasha use bulane ko,
Karta hu call use yad dilane ko,
bhula nahi use, kahta iss  jamane ko,
Shak ho to dekh le, dil rupi garib khane ko,


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai..

   

 @@PKY@@

No comments:

Post a Comment