Monday, February 24, 2014

Mohabbat Aur Judai


Mohabbat me hum jagte,
Judai me hume nind nhi aati...



Mohabbat me dil unka hone se rok na paya,
Judai me dil tanha hone se rok na paya..
Yu to koshish ki thi dil ko bachane ki,
Magar dil ko barbad hone se rok na paya..



Mohabbat me, khamoshi me khushi chupa nhi pata,
Judai me, mushkurahat me dard chupa nhi pata..
Mai to hasta rahta dil hi dil me,
Shayad unako hansi rash na aayi..



Mohabbat me apano ka khyal nahi hota,
Judai me to apna hi khyal nahi hota..
Hum to apno se bahut pyar karte the,
Par tere pyar me us pyar ko roundate chale gaye...



Mohabbat me sochta mai aane wale kal ko,
Judai me sochta mai bite hue kal ko..
Humne to mohabbat ki thi saat janam sochkar,
Wo chale gaye mujhe yu beech raah chhodkar..



Mohabbat me duniya usme dikhti,
Judai me duniya me wo nhi dikhti..
Mai to usake mukhde ko chand ka tukda samjhta tha,
Par chand ka tukda ab chand se dur ho gaya hai...



Mohabbat me hum jagte,
Judai me hume nind na aati... 

          

@@@PKY@@@

Tuesday, February 11, 2014

Mujhe Nahi Pataa

Mujhe nahi pata ye kyo hota hai,

Kabhi ankhe chhalkati,
Kabhi aankhe chamkati,

Kabhi aankhe milata,
Kabhi aankhe churata,

Kabhi pyar karta,
kabhi gussa karta,

Ankhe khuli to tujhko chahta,
Ankhe band to tujhko pata,

Ye teri bewfai,
Ya meri wafai,

Mujhe nahi pata ye kyo hota hai.

        @@@PKY@@@

Faishan Ka Daur


Faishan ka kaisa daur chala hai,
Manav Aage nhi pichhe chala hai,


Tab tan ko kapra nhi,
Ab Tan ke liye kapra nhi
Tab lambe baal majburi,
Ab lambe baal jaruri,
Tab kabilo par sardar bante,
Ab Sardar par joke bante,
Tab Raja ek Rani char,
Ab Rani ek Raja char,
Tab Guru shishya ka rishta pawan,
Ab Guru shishya ka rishta manbhawan,


Faishan ka kaisa daur chala hai, 
Aadmi Pagal, Phone smart ho chala hai..

               @@@PKY@@@

Sunday, February 9, 2014

Sharaab Ka Nasha


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai,


Kisame nahi hhi hai nasha,
bachhe me bachpane ka nasha,
Jawani me pyar ka nasha,
Adhed me kamane ka nasha,
Budhape me pariwar ka nasha,
Aur kahte hai, bura hai nasha,


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai,


Karta hu nasha use bulane ko,
Karta hu call use yad dilane ko,
bhula nahi use, kahta iss  jamane ko,
Shak ho to dekh le, dil rupi garib khane ko,


Log kahte hai mai sharabi hu,
Isame kya kharabi hai..

   

 @@PKY@@

Prem Ki Paribhasha


Pyaar itna na karo ki pagal ban jao,
Pyaar itna na karo ki dost hi ban pao,
Pyaar itna karo wo tumko samajh paye,
Tum usko samajh pao,


Pyaar nam hai dhai akshar ko,
Hote isame premi, premika, Wo,
Premi chahta premima ko,
Wo chahta dono ko,
Premika ki na puchh wo chahti jane kis kis ko,


Pyaar karo pariwar se jo tumhara hove,
Lakh dhokhe pr sath tumhara deve,
Gujaris hai sabse dhyan mujh pr deve,
Lakh tute sapne apne, Maa-Baap ka tutne na deve..



@@@PKY@@@

Saturday, February 8, 2014

Pyar Aur Nafrat

Mujhe pyar hai un khwabo se,
Tere sath hota hu jin khwabo se,

Mujhe pyar hai un wado se,
Jo Dil me kuredati h yado ko,

Mujhe Nafrat hai un yado se,
Jo lati hai aansu ankho me,

Mujhe Nafrat hai us rooh se,
Jo kabhi meri hua karta thi,

Mujhe Nafrat hai teri bewfai se,
Jisne dudh ko daru me badal diya.

Dharm

""Do Dharm ke Premi Samaz ki Nazar me""

"Sath to Dushman,
Alag to Buzdil,
Mare to Bewkoof,
Dusre k sath to Bewafa."

Pyara Dil Aur Jakhmi Dil

Pyara Dil:- "Pyar hasata hai."
Jakhmi Dil:- "Pyar rulata hai."

"Pyar Intzaar karwata hai."
"Pyar Tadpata hai."

"Pyar dosti hai."
"Pyar dosti todta hai."

"Pyar sabra karata hai."
"Pyar Gussa dilata hai."

"Pyar khushahali lata hai."
"Pyar hi tadpata hai."

"Pyar khushi deta hai."
"Pyar dukhi karta hai."

"Pyar Jalata hai."
"Pyar marwata hai."

Dur Ya Pass

Tum dur hi the to achha tha,
Tum Pass na aate to achha tha,

Fool Paudho par the to Achha tha,
Tum dur the to achha tha,

Fool Todte waqt rakt nikal jata to achha tha,
Tujhko pane me waqt nikal jata to achha tha,

Fool hath aaya to sugandh chali gyi,
Tum paas aaye to khusi chali gayi,

Dur raho ya paas, na hone wala bhala,
Dono hi surat me katna hai galaa,

Itna sab hone par ek baat samajh me aayi hai,
Pyaar me gaddhe kam jyada to khaayi hai..

Tum dur hi the to achha tha,
Tum Pass na aate to achha tha.