Tuesday, July 30, 2013

SAWAN KA PRATHAM SOMWAR

Sawan ke pratham somawar ko
baba kashi vishwanath ka darshan
karne ke liye katar me shradhalu.
Dashashwamedh sthit chitaranjan
park me tika kawariyo ka jatha.
Rohaniya kshetra sthit
shoolatankeshwar mahadev mandir
ko dudh chadhati shradhalu..!!

SAMMAN!!!

Purva Rashtrapati APJ ABDUL KALAM ne 29 july 2013 ko Mumbai me everest par fatah karne wali pahli bikalang mahila parvatarohi ARUNIMA SINHA ko sammanit kiya.

SAJISH NAHI TO AUR KYA!!!

SARKARI AANKADE BATATE HAI KI DESH KI LAGBHAG 80 PRATISHAT JANTA GANVO ME RAHTI HAI, AUR UN GANVO ME ADHIKTAR KISAN AUR MAJDOOR JAISE LOG RAHTE HAIN. GANV KE HI KUCHH LOG JO AAJ ADHIKARI, RAJNETA, ABHINETA YA UDYOGPATI HO CHUKE HAIN AUR AAJ GANVO ME RAHNA CHHOD CHUKE HAI. UNAME SE HI BAHUT SE LOG GANVWASIYO KO GANVO ME HI RAHKAR APANI UNNATI KARNE, GANV KI UNNATI KARNE TATHA DESH KI UNNATI KARNE KA TARIKA BATATE RAHTE HAIN KI GANV KO CHHODKAR NA JAAO GANVO ME HI APANE KARKHANE.STHAPIT KARO, KOI UDYOG LAGAO, SHRAM KARO.
            UPAROKT KARYO KO KARNE JA TARIKA TO AAJ BATAYAA JA RAHA HAI PARANTU AAWASHYAKATA HAI OON TARKO KI MAJBOOTI HETU NEEV KO MAJBOOT KARNE KI. AAJ TO HALAT YAH HAI KI GANVO KE BACHCHE JINAME SE KUCH KO SAUBHAGYAWASH GANVO ME PADHNE KA MAUKA MILA HAI, UNHE GHAR PAR SUBAH SHAM AAPNA ADDYAYAN KARNE SE ROKANE KI SAJISH KI JA RAHI HAI, SANCHAR MADHYAM SE DESH VIDESH KI ANYA PRAKAR KI JANKARIYA JO SAMANYATAH YA SUBHAH SHAM HI DI JATI HAI. UNHE DEKHANE YA SUNANE SE ROKANE KI SAJISH GANVWASIYO KE HI SAMNE PESH KI JA RAHI HAI SHAM KE SAMAY JAB AADMI SABHI KAMO SE APANE AAP KO MUKT KARKE SANTUSHTI KE SATH BHOJAN KARNA CHAHATA HAI TO BHI USE ANDHERE ME HI BHOJAN KARANE DENE KI SAJISH RACHI JA RAHI HAI. YADI YAH SAB SAJISH NAHI HAI TO SARAKAR GANVO ME BIJALI KI UPALABDHATA SUNISHCHIT KYO NAHI KARTI HAI!!!!

Sunday, July 28, 2013

LIFE????????

              LIFE?
LIFE IS A JOURNY - COMPLETED
SONG - SING
GAME - PLAY
LOVE - ENJOY
MYSTERY - UNFOLD
DUTY - PERFORM
TRAGEDY - FACE
DREAM - REALISE
BEAUTY - WORSHIP
PROMISH - FULFIL
STRUGGLE - ACCEPT
CHALLENGE - MET